Saturday, November 29, 2008

KASH TUM MERE HOTE

KASH TUM MERE hote...


kash tum mere hote
to hum bhi haq se keh sakte the ki koi humara bhi hai. . . .
koi humari bhi parwah krta hai. . . .
koi humse baat krne k liye trapta hai. . .
haan koi to hai jisse meri takleef se takleef hoti hai. . .
koi hai jisse duniya suhani lagti hai jabh mujhe khushi hoti hai. . .
agar tum mere hote to hum bhi haq se kehte ki haan koi hai...
haan koi to hai...

yeah mera naseeb hai ya meri badkismati
ki main haq se keh nahi sakti
ki haan woh mera hai sirf mera..
kyunki tum mere nhi kissi aur k ho...

tum mera bita hua kal ho...
jo kabhi bhi wapis nhi aayega...
tum meri woh kwaish ho...
jo kabhi puri nhi ho paayegi....
tum mera woh sapna ho..
jo kabhi bhi mera neendon me na aayega...
tum mere sabh kuch ho...
pr yeah kabhi mera dil haq se keh nahi payega
ye haq to kisi aur ka hai...

tum mere dil main the..
abh bhi ho pr.. woh dil abh dil nhi
sirf tute hue kuch tukre hain baki, ek aayina mukkamil nahi...
kaash tum hote... to hum tumhe apni aankho me rakhte
tum bichad na jaao ye soachkr pr hum kabhi na rote
hum bhi pir utne khush rehte jite ki baaki hain
kaash tum hote...to hum bhi kehte ki haan koi hai..
koi humara bhi hai..


by abhishek